Apne beetey huye pal ki tulna karna
bade takleef ki baat hai
Wo din badaa khushi ka tha aur aaj ka
din badaa manhoos hai
Uss din ek doli uthi thi jab do shareer
ek aatma ban gaye thea
Hum dono pawintra pyaar ke bandhan
mein bandh gaye thea
Ek doli mein sawar hoke meri dulhan
badey shaan sey chali thi
Ham ne unko badey pyaar sey apne
ghar ki ek devi bana li thi
Samay beetey bahut khushiyan aayi
jeewan khushhaal ho gaya
Pachpan warshon mein itna pyaar mila
ki dil baag baag ho gaya
Aaj wahi ghar sey ek arthi uthi toh
mera ghar sansaar ujadh gaya
Hum dono ka saath chhoot gaya aur ab
hamara raasta badal gaya
14 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Unka shringaar aaj bhi wayse hi huwa
jayse uss din kiya gaya tha
Fark kewal itna tha uss din wo vida
huyi thi aaj unka alvidayi tha
Uss din unki maang bhari thi aaj bhi
sindoor unke maathe lagi thi
Uss din gaheno sey wo saji thi par aaj
unke paas kuchh bhi nahi thi
Uss din main hasta muskarata raha
par aaj hamara dil ro raha hai
Uss din hum ghar basaaney chale thea
aaj mera ghar ujjad gaya hai
Uss din unke gorey haanthon mein
mehndi lagi thi aaj bhi lagi hai
Uss din unke haanthon mein hari
choodiyan thi aur aaj bhi saji hai
Uss din sawaari piya Milan ki thi, aaj
woh piya sey bichhad gayi hai
Fark hai dono dino mein bahut, uss din
toh doli thi aur aaj arthi hai
Lakhan ki duniya badali jab aangan
mein Saroj ke kadam padey thea
Dil ke har taar khil uthea thea aur
baagon mein bahaar aagaye thea
15 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Saaraa jeewan swarg bana diya tha
mere jheel mein Kamal khile thea
Ab wahi ghar ek samsaan bana hai
jahan unke kadamo ke aahat thea
Yeh toh jaahir hai ki Bhagwaan bahut
bada hai unki lila apram paar hai
Unke aseem kripa aur kar kamlon sey
iss saare jagat ki hota beda paar hai
Gar meri ardhaagni na aati iss jeewan
mein toh kawn dikhata rah mujhe
Dhannye hai mere Saroj Devi ki jisne
Bhagwaan ka bhakti sikhaayaa mujhe
Wo meri dulhan bani aur doli par aayee
par hamne unko arthi par bida kiya
Unke liye aysi khudgarji dikhana mere
tann mann ko jagjhore ke rakh diya
Mere jeewan ke har pal chhin mein
unka aysa pyaar mila hum tript ho gaye
Fark kewal itna hai unke chaley jaaney
ke baad ab hum tadap ke rah gaye
Unki doli aur arthi uthaaney ka shubh
ausar agar phir sey mujhko mil jaaye
Unke arthi ko main doli bana loonga
chaahe duniya idhar udhar ho jaaye
16 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Uss doli mein main unke naye aatmaa
ko jeewan bhar sambhaal ke rakhoon
Yahi Saroj ke Lakhan ki chaahat hogi ki
ab unko apne duniya mein hi rakhoon.