UNKA SANDESH
Mere preyetam tum hona na khaamosh kabhi
Apne aankhon mein laana nahin nami kabhi
Jo ho usko saaf saaf kah dena mujhse sabhi
Apne sajani se kuchh chhupaana na kabhi
Yaad rakhna ek baat hona na uddaas kabhi
Apne safar mein mil jaayenge kabhi na kabhi
Kya hoga jab hamaara punar milan hoga
pyaare
Main tumhaare sabhi gamon ko churalungi
pyaare
Khud muskura ke tumko bhi hansa dungi
pyaare
Tumko khoob gudgudaawungi aalingan se
pyaare
Phir bhi agar tere aankhon mein aansoo paaya
To gale se tujhe lagaawungi ban ke teri saaya
Tere har jasbaat ko apne sine mein sametungi
Jaane na dungi door dil mein chhupalungi
Bhool jaawoge sab gam tujh mein samajaungi
Itna tumko hansaaungi khud ko bhool jaaungi
Paas hi rahenge main yaad bhi nahi aaungi.
@
Mohabbat karo to aise insaan se karo jiske
saath sada raha ja sakey,
Mohabbat to aise saks ki talaash karti hai
jiske bagayr raha na ja sakey.
Facebook par ya jindagi mein pachaas
mitra banana aam baat hai,
Lekin pachaas saal tak ek dost se mitrata
nibhaana khaas baat hai.
Ham dono ne ek dooje se itni gahri dosti
kar li thi ki ek ho gaye the,
Jab saath chhoota jigar ke na jaane kitne
tukde ho gaye ham hataas ho gaye the
Par ab dhire dhire jab apne sapno mein
milte hain to kuchh theek lagti hai
Sapne to sapne hain un mein sachchaai
aur asaliat nahi hai.
@
Dher sa barf bhardo mere seene mein is
aag ko bujha do,
Judaai ke dard jo jalte hain unko kuchh
kam to karaa do.
@