Jab Main Marunga Kabhi
Ham hanste rahe apne jindagi mein apni
mohabbat par naaz tha,
Jindagi jab charan seema pe pahunchi to
dekha ye dil nasaaz tha.
Mere naaraazgi ka sabab matt poochho yaaro
dil pe chot lagti hai,
Jigar mein naaraazgi aajaati hai jab dil par
bijli girt padti hai.
Dene waale ne khoob khushi dekar sab kuchh
chheen li ye badkismati thi,
Mere mehbooba ko hamse judaa kiya yeh meri
badkismati thi.
Mujhe rone se fursat mili to mujhe unki
yaadon ne khoob sataayaa,
Jitney aansoo bahaaya unke liye ye dil ne kisi
se na bataayaa.
Yeh judaai ko sahan kar loonga unko
badnaam nahin karunga kabhi,
Yeh to jaahir hai ki unse mulakaat hogi jab
main marunga kabhi.