Mere Aatmaa Ki Pukaar-Chal Akela Chal by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Mohabbat Theek Se Kijiye

 

Mere sanam ne mujh se apna dil lagaya tha

mujhko khoob lubha lubha kar,

Jaane se pahele usne mujhse kuchh bhi na

kaha chali gayi rula kar.

Ab wahi mukaam aur nazaaren hain magar

ham rahte hain unke firaak mein,

Jigar par badi chot lagti hai meri aankhen

chhalakti hain unke taak mein. 

Kisi aur ko bhi mere jaysi jindagi naseeb na

ho mere doston,

Mujhko jo jakham mila hai wo kisi dusman ko

bhi na ho mere doston. 

Aaya tha unke aalam mein panah paane ke

liye par ab bedeed ho gaya,

Is chaukhat se unko bichhad jaane se to ab

main ek mareez sa ho  gaya. 

Khanzar chalaa dijiye seene pe par kabhi aysa

gahra gham na dijiye,

Mohabbat ek ibaadat hai keejiye jaroor, magar

jara theek se kijiye.

 

@

 

Yeh bhi tajurba karloon ab kuchh  gham

bhi utha loon main,

Ab unko yaad rakkhoon ya khud ko bhool

jaawoon main?

 

@