Mere Aatmaa Ki Pukaar-Chal Akela Chal by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

PYAR KI BAAT ADURI RAHTI

 

Aaj se aadhi sadi pahele agar do dil na milte to

yeh prem Milan adhuri hi rahti,

Mulakaat to ho jati jindgi ban bhi jaati magar

pyar ki baat to adhoori hi rahti. 

Sukriya karoon main unke mere duniya mein

aajaane se meri raunak bani rahti,

Meri duniya soonsaan rahti aur meri pyaar ki

mehfil to aaj bhi aduri hi rahti.

Mere rishte ko pawitra roop diya aur mere

dukh dard ko apnaa kar chali gayi,

Mere ghar ke diwaaron pe lagi unki

manbhawan tasveer mere saamne

rah gayi. 

Mere in taraste aankhon ke sabhi aansoo

bahate rahte aur dil mein badi dard hoti,

Mere is najuk dil mein agar unka jigar na

dhadakta to unse itna mohabbat na hoti. 

Saath unka kabhi na chhootata hamaare

mann mandir mein aaj bhi chaman hoti, 

Agar mandap mein nibhaye bachan nibhaye

hote to yeh jindagi sooni na hoti.

Denewale ne khoob pyaar diya aur phir le bhi

liya na jaane wo aysa kyun kiya,

Hamare do dil na milte to yeh pyaar ka

bandhan adura rahta yeh toone kya kiya.

Aadhi sadi pahele gar Saroj aur Lakhan na

milte to yeh prem Milan adhuri rahti,

Mulakaat to ho jati jindgi ban bhi jaati magar

pyar ki baat to adhoori hi rahti. 

 

14th March 2015

 

@

 

Ho jaaye jo akela to yeh dil bhi bada ajeeb

hai,

Yaadon ka laakh jhamela apne saath

rahta hai.

Duniya chhoot jaye par aasara nahi

tootata hai,

Mehfil jab viran ho jaye to dil unko hi

khojta hai.

Sheesha toote par kabhi kisi ka dil na

tootane paaye,

Sheesha to phir mil jaayega dil ko kis

bazaar se laaye?

 

@