Mere Aatmaa Ki Pukaar-Chal Akela Chal by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAROJ KAUN THI?

 

Saroj meri aatma thi, Saroj meri pyaari thi,

Saroj meri nyaari thi,

Unki paydaish wastrheen huyi thi aur unka

nidhan bhi wayse huyi thi,

Wo na kuchh le ke yahan aayi thi aur na

kuchh leke gayi thi,

Meri Saroj khaali haanth aayi thi aur wo

khaali haanth gayi thi. 

Unke aane se kaliyaan khilli thi unke jaane se

unko mukti milli thi,

Ayse Devi ka janam siddh hota hai ayse Devi

ka Dharm mahaan hota hai,

Ayse Devi ka karm pradhaan hota hai unka

jeewan kalyaankari hota hai.

Unke nidhan par ham shok manaye the par

yahi unke jeewan ka nirvana hai,

Saroj ke madhur yaaden tamaam hain ab un

sab ka bahut aadar hota hai.

Unki sabhi karam pawitr the ham unko

sajayenge to hamko khushi milegi, 

Unke kar kamlon ka sada jasan hoga tabhi

unke aatma ko shanti milegi. 

Unke yaadon ki guldasta ham sajaayenge

unke kirtiyon ka utsav manayenge,

Jis ne ham sabko sajaya sambhala unke liye

ham jasan manayenge.

Ayse hi meri Saroj ka sammaan hoga yahi

mere priyetam ka shaan hoga,

Mere priye patni ka sada jay jaykaar hoga to

Lakhan behadd khush hoga.