![Free-eBooks.net](/resources/img/logo-nfe.png)
![All New Design](/resources/img/allnew.png)
Main Unke Saath Raheta Hoon
Mere kuchh doston ka sawaal hai ki ab main
akela kyun rahta hoon?
Main akela kahan, main to unke sabhi
madhur yaadon ke saath rahta hoon.
Mere ghar ko unhon ne ek mandir banaya tha
aur yeh unka Saroj Niwaas tha,
Ab unki sabhi purani yaaden mera sahara
hain main unke saath rahta hoon.
Mere in sabhi baaton ka ehsaas kisi ko nahin
hoga yeh main jaanta hoon,
Hamara wo jeewan ek hara bhara bagicha tha
jab main unke saath rahta tha.
Ab na mujhko koi hos rahta hai na main apna
dhyaan rakh sakta hoon,
Hamko unhon ne ek insaan bana diya tha ab
unke pyaar mein fida rahta hoon..