Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MERA DIL AAJ BADA

UDAAS HAI

 

Aaj August 15,  2015 hai mere priyetam ka

75th  janam din hai

Na jaane kya baat hai aaj mera yeh dil bada hi

udaas hai

Aaj to khushi ka din hai chahal pahal hona

chaahiye

Aaj mere devi ji ka janam din hai to khushi

chaahiye

 Chaaro taraf chahal pahal hai mere dil mein

ruswaai hai

Khushi nahi hai honthon par ek bebasi si

chhaai hai 

Meri mohabbat mujh se bichadi hai kayamat

ka aagaaz hai 

Aysa kya khaas hai jo  yeh dil aaj uddaas hai

Bagiche ke phool ek dam berang hain 

Unki khushboo kisi ne chura li hai

Hamaare talau mein kamal bhi uddaas hai

Wahaan pe aaj bhauren bhi chup hai

Na laut aane ki kasam khaaii hai

Aysa samjho meri jindagi bhi mujhse leli

judaai hai

Is gahraaii mein dafan aaj koi raaj hai

Na jaane kya baat hai mera dil aaj udaas hai 

 

@

 

UNKI YAADON KA

MAARAA HOON

 

Kabhi paagal kabhi awaara hoon unki yaadon

ka maaraa hoon

Kabhi unke khayaalon mein kho jaataa hoon

Kabhi unke khayaalon mein hi unke sangh jee

letaa hoon

Kabhi neend mein bhi bechain ho jaataa hoon

Unke baare mein sochte rahna unhe chaahate

rahna

Bas ab ek yahi kaam mujhe haik arte rahna

Tu meri kismet hai meri jaane jaanaa

Tu meri dil ki dhadkan hai hamne ye maanaa

Ab kya aur kahoon aur kayse kahoon

Main tera hi intzaar karoon

Is janam mein kya har janam mein kahta

rahoon 

Tujh pe hi apna jaan nisaar karoon.

 

@

 

LAGAN TERE MANN KI

AGAN TERE TANN KI

 

Tere isq ki agan lage to mera sara tann mann

hi jal jaaye hai

Jab teri lagan lage to meri saari sudhbudh bhi

kho jaaye hai

Tera swarg waas ho jaana aur mujh se

bichhad jaana

Mujh se paraya ho jaana laga mujhko bhoon

jaana

Phir jab teri yaadon ne jakada dil se tujhko

bulaana

Yeh isq ki agan lagi hai ab tann mann jalta hai

Sanjha lagti hai kaanta si hawa bhi dard laata

hai

Jab baate karti hai yeh raate sapne mein tu

aajaati hai 

 

Aankhon mein aansoo rahte hain

jab nazrom mein tu chhaa jaati hai

Is dil ka katra katra ab kahata hai 

Tere pyaar ko hamko phir se paana hai

Gar na paawoon tujhe to bilakh jaawoon

In season ko tere milan tak rakhna hai

Bina tere kya hai jeena, yeh jeena bhi kya

jeena hai

Tere isq ki agan lage to mera sara tann mann

hi jal jaaye hai

Jab teri lagan lage to meri saari sudhbudh bhi

kho jaaye hai.

 

@