Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

TO MERE DIL KO

BHAAYE

 

Jayse jayse din beeta jaaye tera roop swaroop

khilta jaaye

Ab tu hi mere dil ko bhaaye ab tu hi mere dil

ko bhaaye

Teri judaai dukhdaai hai bahut sataaye bahut

tadpaaye

Tere bina ab raha na jaaye aur kuchh kiya bhi

na jaaye 

Main hoon tera baawara banta jaata hoon

dera dewaana

Khayaalon mein jab bhi dooboon ho jata hoon

mastaanaa

Tere hi baahon mein jhoomoo bhaunra ban ke

ghoomoo

Titali si tu bas firti rahti hai main tere aas

paas ghoomoo

Hamara pyaar ab aysa rang sajaaye sudh

budh bhulaaye

Jayse jayse din beeta jaaye tera roop swaroop

khilta jaaye

Tasveer teri main roj banaakar is dil ke paas

sajaawoon 

 

Diwaaron pe lagaawoon, pyaar ke rang mein

sajaawoon

Teri tasveer is dil ko bahlaa na sake to gussa

ho jaawoon

Phir usko choom chaat kar bade hi pyaar se

manaawoon

Tere jaane ke baad yeh pyaar ne kayse kayse

rog lagaaye

Kayse kayse yeh rang sajaaye ab tu mere dil

ko bhaaye.

@