Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

EK PYAAR KI HASEEN

RAAT

 

Wo mere liye pyaar ki ek haseen raat thi

Jab ham ko meri sajni pahli baar mili thi

Phagun mahina ka basant panchami tha

Us ko hamne Valentine’ s Day kaha tha

Wo mere paas thi main unke kareeb tha

Aankho hi aankho mein baat huyi thi

Ishaaro hi ishaaro se kuchh baat huyi thi

Phir ham ek dooje ke kareeb aa gaye the

Duriyon ko bhool ek dooje ke ho gaye the

Wo mere liye khaas thi main unka khaas tha

Wo mere paas thi main unke paas tha

Ham ek dooje ke gale se lage the 

Ham ek dusare se pyaar ki izhaar kiye the

Ham ne apne pyaar ka ikrar kiya tha 

Jeewan bhar saath rahne ka wada kiya tha

Unke julfon mein ek gulaab sajaaya tha

Dilon mein ek dusare ki tasveer gadha tha

Wo bhi khamosh thi main bhi chup tha

Kewal hamaare dhadkano ka kuchh sor tha

Wo kah rahi thi hamaare beech koi aur na tha

Hamne bhi unse kai baar yahi kaha tha

Iske baad hamne apne pyaar ke geet gaya tha

Us ghazal ko koi premi kabhi kahin gaya tha

Ham ek dooje ke sajde mein jhuk ke kaha tha

Wo hi sare umar ka daastan ho gaya tha

‘ Rahoon kayse main tumko nihaare bina

Mora mann hi na maane tumhaare bina

Jaawoon kahin bhi to mann yahi choot jaaye

Ankhiyon se ankhiyon ka taar toot jaaye.’ 

 

@

 

Mere paas unke pyaar ki kai ajeeb

nishaaniyan rakkhi hai

Unki laajawaab muskurahat mujhko aaj bhi

sataati hai

Hamaare zindagi mein chaahe ji tni bhi

pareshaniya aati thi

Unke chhatr saaye mein har mushkil aasaan

nazar aati thi