Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

HAMAARE TALAAB MEIN

 

Koi aur kamal ki kya majaal ki mere talaab

mein khil jaaye

Wahaan meri pyaari kamal khilti hai koi dooja

kayse aajaaye

Apne pyaari kamal ke ek ishaare pe pyaar

pyaar ho jaaye

Jheel si unki aankhen dekh ke dil baag baag

ho jaaye

Meethi baate unki lambe ghanere baal mujhko

bha jaaye

Khud se huye begaane tumhaari jay jaykaar

kiya jaaye

Tu maane ya na maane Saroj apne Lakhan ke

mann bhaaye

Main yeh elaan karta hoon yeh dil tere dil ke

aarpaar ho jaaye.

 

@

 

Mere zindagi mein bahut se bure waqt aaye

aur chale gaye

Har taraf se gam ke kitne paigaam aaye aur

phir chale gaye

Jis din  mere sabhi apne mere daman ko chhor

ke chale gaye

Us din se mere tanhaai mein mere aansoo hi

kaam aane lage