Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKA SANDESH

 

Mere preyetam tum hona na khaamosh kabhi

Apne aankhon mein laana nahin nami kabhi

Jo ho usko saaf saaf kah dena mujhse sabhi

Apne sajani se tum kuchh chupaana na kabhi

Yaad rakhna ek baat hona na uddaas kabhi 

Apne safar mein mil jaayenge kabhi na kabhi

 

Kya hoga jab hamaara punar milan hoga

pyaare

Main tumhaare sabhi gamon ko churalungi

pyaare

Khud muskura ke tumko bhi hansa dungi

pyaare

Tumko khoob gudgudaawungi aalingan se

pyaare

 

Phir bhi agar tere aankhon mein aansoo paaya 

To gale se tujhe lagaawungi ban ke teri saaya

 

Tere har ek jasbaat ko apne sine mein

sametungi

Phir na jaane dungi door dil mein tujhe

chhupalungi

Bhool jaawoge apne sab gam tujh mein

samajaungi

Itna tumko hansaaungi main khud ko bhool

jaaungi

Jab paas paas rahenge tab main yaad nahin

aaungi.

 

@

Mohabbat karo to aise insaan se karo jiske

saath sada raha ja sakey,

Mohabbat to aise saks ki talaash karti hai

jiske bagayr raha na ja sakey.

 

@

 

Facebook par ya jindagi mein pachaas mitra

banana aam baat hai,

Lekin pachaas saal tak ek dost se mi trata

nibhaana khaas baat hai.

Ham dono ne ek dooje se itni gahri dosti kar li

thi ki ek ho gaye the,

Jab saath chhoota to jigar ke na jaane kitne

tukde ho gaye ham hataas ho gaye the

Par ab dhire dhire jab apne sapno mein milte

hain to kuchh theek lagti hai.

 

@

Dher sa barf bhardo mere seene mein is aag ko

bujha do,

Judaai ke dard jo jalte hain unko kuchh kam to

karaa do.

 

@