REPLY TO MY POEM BY
SAROJ
Jaate ho safar pe to jaawo lekin yeh yaad
rakhna,
Intazaar karti rahoongi jab tak tum laut ke na
aajaana.
Hamne tumse pyaar kiya hai yeh koi khel
nahin hai,
Yaad rakhna yeh mere poore jeewan ka sawaal
hai.
Is duniya ke jhamelon se bachna yahi mera
kahna hai,
Mere laaz ko bachaa ke rakhna yeh tumhara
kaam hai.
Bhoolne bhulaane ki baat na karna ham ab ek
dooje ke hai,
Samay aane par bataa dungi ki mera agla
kadam kaun hai.
Intzaar ki ghadiyan chahe lambi ho ya chhoti
ho,
Is saagar ke do kinare jaroor mil jayenge
chahe kuchh bhi ho.
(I received this in the mail in January 1960
when I was teaching in Labasa and kept it in
my wallet ever since.)