Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNHI SE MUJH KO

PYAAR RAHA

 

Unka un dino paas aana mere jeene ki wajah

ban gayi thi

Unki madhur muskaan aur lagan mere dil ki

sada ban gayi thi

Un dino mere dil ke dhadkano par koi jor na

tha wo unka ho gaya tha

Khud b khud najaane kab aur kayse mujhe

unse pyaar ho gaya tha

Bin dekhe unhen din mein na chain milta tha

raat mein bechaini thi

Kab aank khule kab subah ho akhir deedaar

unki ho jaati thi 

Dil ki dhadkan badhti gayi hamaara pyaar bhi

jatil hota gaya

Dil ko karaar aa gaya jab mere panapte pyaar

ka izhaar ho gaya

Mere paheli pyaar ki subah ho gayi mujhko

manjil mil gayi

Har pal har ghadi mere pyaar ki jeet huyi aur

unki ikraar ho gayi 

Pyaar mein haal mera behaal hua kayse

kahoon unse pyaar hua

Muskuraana bhi ek nazakat hai jisko dekh ke

mujhe josh hua

Bas le kar unke haanth mein haanth viwaah

ke liye taiyaar hua

Dil ke armaan sab poore ho gaye jeewan apna

saakaar hua

 

Paariwaarik jeewan khill uthi ab pyaar mein

koi fikar hi na raha

Kabhi nahin dara main kahne se ki unhi se

mujh ko pyaar raha 

 

@

 

Sab jaante hain ki mere paas likhne ke liye

shabdhon ki kami nahin hai

Lekin pyaar ke pawitrata ko bayaan karne ke

liye kuchh bhi nahin hai

Padhne waale to aaj tak meri khaamoshi ko hi

nahi samajh paaye hai

Wo meri rachnaawon ko kayse samjhenge yeh

mujhko pata nahin hai.

 

Ab Bas Karo Janaab