Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AGLE SAAWAN MEIN

LE JAANAA

 

Bahut dino par aaj waarish ho rahi hai

Na jaane yeh mann kyun pulkit hota hai

Dhire dhire phir baadal jamke barsa hai

In boondon se kaysi masti chha gayi hai

Ham dono waarish ko ayse pyaar kiye the

Baraamde mein bayth kar mauj karte the

Par aaj kyun ye judaai mujh par aagayi hai

Aaj ka waarish hamko bada tadpaata hai

Mera shubh chintak hamse door hua hai

Mera jeewan saathi mujhse bichhada hai

He saawan ke baadlon unko bula ke laawo

Mere pyaar ko is mausam mein leke aawo

Wo waapas aajaayengi waarish tham jaayega

Ham pyaar karenge waarish khush ho jaayega

Haanthon mein ab ham dono ka haanth hai

Mera pyaar ab yahaan mere saath saath hai

Yeh saawan jhoom ke gaayega gale lagaayega

Hamaare bheege badan mein aag lag jaayega

Bahut dino par aaj phir waarish ho rahi hai

Na jaane mann mera kyun pulkit ho raha hai

Yeh tann mann bahak gaya tha lahron mein

Bahaka mann tadap gaya tha ek chhan mein

Ay saawan ke baadalon tum ab sthir ho jaawo

Waarish ko roklo aur ab waapas chale jaawo

Sajni mere saath hai unko nahin le kar jaanaa

Agle saawan mein jab aana to unko le jaanaa.

 

@