Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MERA BURA HALAT HO

JATA HAI

 

Log poonchte hain to sunaa deta hoon apni

dukh bhari kahani laachaar ho kar

Apne sanam ke judaai ke 16ura b16 main bhi

rahta hoon ek beemaar sa ho kar 

Maan lo mera kahana yaaro is jahaan mein ab

apna dil lagaanaa chhoR do

Jaa ke mere mahbooba se kah do ki ab mujh

par aysa jurm dhana chhoR do 

Unka achaanak bichhad jaana sataati hai

mujhe hamari raajdaan ban kar 

Parwar digaar ne ujaad diya hai mera baag

mera hi baagbaan ban kar 

Unko apna dil de kar apne hi jaan ko ab apna

hi dushman banaa diya hai 

Pyaar ka lutf to uthaaya tha par muft mein

aysi ye sadma uthaa liya hai 

Ab aankhon mein laakh asq hain, chehara

maleen hai aur dil rota hai

Mere sanam ki yaad jab bhi aati hai to mera

bura haalat ho jaata hai.

@

 

Unke bichhad jaane ka jakham ka daag hi ab

rah gaya hai,

Sah lena aasaan hai kyunki dard itna meetha

ho gaya hai.