MAIN TADAPNE LAGTA
HOON
Kitne khwaab dekha tha apne jeewan mein
yeh khwab ki taabir hai
Ab hamare saamne khamoshi ki aalam hi hai
aur unki wahi tasveer hai
Is kadar ab apne maathe ko ragadtaa hoon
apne is chaukhat par
Pal bhar mein mit jaati hai jo kuchh bhi likha
tha mere is foote takdeer par
Ab jab bhi paas jaa ke baythta hoon main
apne bichhade huye hamnaam ke
Bas rah jaata hoon main unki surili baaten
sunte apnaa kaleja thaam ke
Ab jab bhi koi mera dost mere saamne unka
sunahara naam liya karta hai
Tab tab mera yeh toota dil bechaara apne
sitamjada ko hi yaad karta hai
Agar chale gaye ho to chaley jaawo shauk se
main kuchh nahin kahta hoon
Lekin jab baar baar mujhko yaad aate ho to
main yahan tadapne lagta hoon.
@
Ek baar phir unse miljate to chahat ka bharam
mit jata,
Dil ko chain milta aur mere tanhaai ko sukoon
aa jata.