Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAROJ KAUN THI?

 

Saroj meri aatma thi, Saroj meri pyaari thi,

Saroj meri nyaari thi,

Unki paydaish wastrheen huyi thi aur unka

nidhan bhi wase huyi thi,

29ura  kuchh le ke yahan aayi thi aur 29ura

kuchh leke gayi thi,

Meri Saroj khaali haanth aayi thi aur wo

khaali haanth gayi thi. 

 

Unke aane se kaliyaan khilli thi unke jaane se

unko mukti milli thi,

Ayse Devi ka janam siddh hota hai ayse Devi

ka Dharm mahaan hota hai,

Ayse Devi ka karm pradhaan hota hai unka

jeewan kalyaankari hota hai.

Unke nidhan par ham shok manaye the par

yahi unke jeewan ka nirvana hai,

Saroj ke madhur yaaden tamaam hain ab un

sab ka bahut aadar hota hai.

 

Unki sabhi karam pawitr the ham unko

sajayenge to hamko khushi milegi, 

Unke kar kamlon ka sada jasan hoga tabhi

unke aatma ko 29ura b milegi. 

Unke yaadon ki guldasta ham sajaayenge

unke kirtiyon ka utsav manayenge,

Jis 29ura b29 ham sabko sajaya sambhala

unke liye ham jasan manayenge.

Ayse hi meri Saroj ka sammaan hoga yahi

mere priyetam ka shaan hoga,

Mere priye patni ka sada jay jaykaar hoga to

Lakhan behadd khush hoga.

 

 

Main Unke Saath Raheta

Hoon

 

Mere kuchh doston ka sawaal hai ki ab main

akela kyun rahta hoon?

Main akela kahan, main to unke sabhi

madhur yaadon ke saath rahta hoon.

 

Mere ghar ko unhon ne ek mandir banaya tha

aur yeh unka Saroj Niwaas tha,

Ab unki sabhi purani yaaden mera sahara

hain main unke saath rahta hoon.

 

Mere in sabhi baaton ka ehsaas kisi ko nahin

hoga yeh main jaanta hoon,

Hamara wo jeewan ek hara bhara bagicha tha

jab main unke saath rahta tha.

Ab na mujhko koi hos rahta hai na main apna

30ura b rakh sakta hoon,

Hamko unhon ne ek insaan bana diya tha ab

unke pyaar mein fida rahta hoon.