Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

WO BAHUT YAAD AATI

HAIN

 

Unki tasveer saamne rakhta hoon to wo bahut

yaad aatI hai,

Aaine mein apni surat dekhoon to unka hi

chehra dikhta hai.

Bhul jaana aasaan nahi hai bhulane se aur

bhi yaad aaiti hai,

Jab bhi unko bhulaana chahata hoon wo aur

bhi yaad aati hai.

Jab wo kahti thi chalo barsaat mein aaj ham

bheeg lete hain,

Ab jab main barsaat mein beegta hoon to wo

yaad aajati hain.

Jab tak ham dono saath rahe udaasi kabhi bi

nahi sataati thi,

Aaj sab din udaas raheta hoon kyunki wo

bahut pyar karti thi.

31ura b kadam par ab unke sabhi madhur

yaaden sataati hain,

Tasveer saamne rakhta hoon phir bhi wo

bahut yaad aati hain.

@

Badi mushkil se banaa hoon toot jane ke baad,

Main aaj bhi ro deta hoon muskurane ke baad.

Un se mohabbat toh thi mujhe beintiha,

Lekin yeh mehsus hua unke jaane ke baad.

Ab tak dhundh raha hoon apne andar ke us

shaks ko

Jo nazar se kho gaya hai nazar aane ke baad.