Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Gulab, Sawaal aur Sharaab

 

Jaa kar tod laata agar tum mere bagiche ki

gulaab hoti,

Main tera sabhi jawaab hota agar tum meri

sawaal hoti.

Sab log jaante hain ki main thoda sharaab pi

letaa hoon,

Main jhoom kar peene lagta agar tum meri

sharaab hoti.

 

UNHON NE PUKAARA

MUJHE MERE NAAMSE

 

Bahut din ho gaye hain unko mujhse bichhde

huye,

Aaj mera mann phir bahut uddaas hai unke hi

liye.

Aaj najaane phir kyun waisi hawa chali hai

shaam se,

Jayse unhon ne mujhko phir pukara hai mere

naam se.

 

Mann ki uljhan badhi aur dil ki dhadkan

badhne lagi,

Meri is haalat ko dekh kar aaj wo bhi tadapne

lagi.

Ham samete the apni sabbi vedna ko apne

seene mein,

Unki sabhi preet ke dor ko sajaaye the apne

mann mein.

Yeh mann ka upwan jo pahele geeton se bhara

tha,

 

Maayusi se tadap raha hai jo khushi se

jhoomta tha.

Din mein baaten teri aur raat mein yaaden

hain teri,

Subah ki kiran mein tapan hai sham ko

ghutan meri.

 

Jab chaand aur taare kahkaha karte hain

gagan mein,

Jigar ki uljhan badh jaati chubhan hoti is

mann mein.

Mere rag rag mein samaaye ho tum priyewar

mere,

Har geet ke gunjan mein chhaye ho priyewar

mere.

 

Mere dil ki dhadkan jhanakti rahi hai tere hi

raagse,

Nayno mein itna kasak hai niraash hain aaj

shaam se.

Aaj najaane phir kyun waisi hawa chali hai

shaam se

Jayse unhon ne mujhko phir se pukaara hai

mere naam se.