Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKO KHO DIYA CHALTE

CHALAATE

 

Mujhe phir unki yaad aane lagi hai unko

bhoolna bahut mushkil hai,

Madhur yaaden itni hain ki un sab ko bhoolne

mein jamaane lage hai. 

Mujhe unse mohabbat huyi thi lekin yeh

kahne mein jamaane lage hai,

Ek pyaar ka maahaul banaaya tha par ab yeh

umar dhalne lagi hai. 

Aur kuchh din yeh pyaar ka silsila chalta to

jindgi mein bahaar aajaate,

Takdeer 43ura b43 tadveer nahin chali us din

unko kho diya chalte chalaate. 

 

 APNA PARAYA PATAA TO

CHALE

 

Koi aysi hawa to chale kuchh mere pedh ke

patte to heele,

Yahan kaun apna hai aur kaun paraya yeh

bhi pataa to chale.

Kai sitam aayengi kai aur hongi jurm sah

lenge bhale,

Jo bhi chaaha pura ho aur kuchh din yeh

silsila to chale. 

Hamari manjilen khud karib aayengi jara

saboori to karle,

Ay mere azizaano ayse hi meri ye kafila to

chale.

Chahe sahar ho ya gaaun ho ya ghar hi apna

rahe,

Dildaar hi jab ruth jaaye to yahan apna kaun

rahe.  

Is liye har kisi se jhoom kar mil leta hoon

jahaan waale,

Yahi unka farmaan tha ab wahi karte chale,

Koi aysi hawa to chale kuchh mere pedh ke

patte to heele,

Yahaan kaun apna hai aur kaun paraya

kuchh pataa to chale. 

@

 

Pyaar aur maut dono bin bulaye mehmaan

hain

Ye dono kab paas aajaaye ham nahi jaante

hain

Kuchh bhi ho ye dono nishaani chor jaate hain

Pyaar dil le jaati hai maut dhadkane lejaati

hain