Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

YADON KO SEENE SE

LAGAWOONGA AHISTE

AHISTE

 

Usne jab kiya tha mujhse wafa to pyar ho

gaya tha ahiste ahiste,

Mere is dil ke viraane mein ik phool khill gaya

tha ahiste ahiste.

 

Wo aaye the mere jeewan mein masiha 45ura

b ahiste ahiste,

Mere sabhi dukh dard aur jakhmon pe hanth

lagaya ahiste ahiste.

Ab wo bhi din aagaye jab main pareshaan

hoon habut tanha hoon,

Aye rub ab koi tajjub kar de unki koi baat

suna ahiste ahiste.

Ab teer chala de aur meri aankhon ko bujha

de ahiste ahiste, 

 Agar chorna hi tha to wo mujhko chorkar

jaati jara ahiste ahiste. 

Jayse aaj muddat ho gayi hai apne yaar se

bichhde huye,

Jayse kitne din beet gaye hain mujhko

muskuraye huye.

Yeh dil to viraana hi rahega lekin samhal

jayega ahiste ahiste,

Unki sab madhur yaadon ko seene se

lagawonga ahiste ahiste.