Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

YAADEN YAADEN

YAADEN

 

Hazaaron nagmen hain kuchh shikwe bhi

hain,

Na jaane kitne kisse aur kitne baaten bhi

hain.

Shaayad ham kuchh baaten bhool jaaten

hain,

Lekin unki sabhi yaaden yaad aati hi rahti

hain.

Yeh sabhi madhur yaaden dil O janam ke

hain,

Unke chale jaane ke baad yaad aati rahti hain.

Yeh sab yaaden mere dil ke kareeb rahti hain,

Hamara jeewan ab to dariyon ke paani hain.

Yeh paani beh jaayenge yaaden rah jaate hain,

Is duniyan mein unka yun aana aur phir

chale jana,

Pahele to bahut dukh diya par ab ham ne

mana.

Aaye to lakhon pyaar laaye gaye to sab le gaye,

Unki yaaden rah gayi hain bas yaaden rah

gaye.

Bandhan bhi the darpan bhi the us jeewan

mein,

Yehan ab sab tadap rahen hain is seene mein.

Mere duniyan mein ab yaadon ke baufaare

aane do,

Kuchh kushiyon ko laawo yaadon ko na jaane

do.

Ye yaaden badi jatil hain inko hamse na

chheeno,

Agar chheenana hi hai to mujhko mujhse

chheeno.

Hazaaron nagmen hain kuchh shikwe bhi

hain,

Na jaane kitne kisse aur kitne baaten bhi

hain.

Shaayad ham kuchh baaten bhool jaaten

hain,

Yeh meri yaaden, meri yaaden, meri yaaden

hain.

Inko bhoolna chaah kar bhi bhool nahin sakta

hoon main,

 

Inko yaad kar ke bhi yaad nahin karma

chaahta hoon main,

Bahut dard hota hai seene mein jab yeh sab

soochta hoon main,

Ab unke yaadon ke siwa aur kuchh nahin

chaahta hoon main.

 

@

Apne priyetam ke chale jaane se jindagi adhuri

ho jati hai,

Laakhon aur mil jaaye par us ek ki kami puri

nahi hoti hai.