Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

PREMIKA KI DUWAAYEN

 

In mushkil raahon mein bhi aasaan safar

lagta hai,

Yeh mere premika ki duwaawon ka asar lagta

hai.

 

Maine dil O jaan se unse pyaar kiya hai, 

Aasmaano se bhi uunchha mera sar lagta hai.

 

53ura  veeraana jahan mein umr gujarti hai,

Unki tasveer saamne hai toh yeh ghar mandir

lagta hai.

 

HAM TARASTE RAH GAYE

 

Mujhe apne beetey dino ka khayaal hai mujhe

wo sabhi rushwaiwon ka khayaal hai,

53ura b53h main apne is toote dilko kya

karoon isko abhi bhi shauke vishaal hai. 

Unko toh zidd 53ura b53h naye arz karne ki

par mere bhi arz ab kitney behaal hai,

Aaj bhi unki wahi jawaab rahti hai aur aaj bhi

wahi sab mera sawaal  hai.

Unki madhur yaadon mein jabsey hua gum

yeh gamsuda ka bada bura haal hai,

Main na unse door hoon na wo mere kareeb

hai na koi gila hai na koi malaal hai.

Koi ja ke un sabhi beete dino ko laye

khushiyon ka rang waapas uthaa ke le aaye,

Kahten hain ki jaane wale lautate nahin par

koi mere mehboob ko jannat se le aaye.

Main koi shaayar toh nahin par unke pyaar ne

mujhe ek lekhak bana diya,

Aur unke judaai itni jakhmi ho gayi ki mujhe

dil lagaa ke likhna sikha diya.

Iss ghaayal ke dil sey likhi huwi sabhi baaten

logon ke dil ko bhaa jaati hai,

Yeh sab itni anokhi baaten hoti hain ki har

waqt dil mein samaayi rahti hai.

Iss duniyan mein kuchh log milkar ham ko

daga de kar chaley jaaten hain,

Unke jayse logon sey mil kar yahan sabhi

logon ki jindagi badal jaati hain.

Main unse mila aur ham ek pyaar ke bandhan

mein bandh kar chalte rahe,

Jeewan mein jab mauj uthaane ka samay

aaya tab se aaj tak ham taraste rahe.

 

@

Aaj 54ura b nayi subah mere ang ko aake

chhoo jaati hain,

Uthkar dekhta hoon to wo unke honthon ke

nishan hoten hain.