Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Hamare Nazron Ka

Intzaar Aaj Bhi Hai

 

Hamaare vyakul nayno ko unka intzaar aaj

bhi hai,

Dekhta hoon raah jalaataa hoon diya unki

yaad aaj bhi hai.

Unke khwaab raaton ko meri roshan karte aaj

bhi hai,

Unke madhur muskuraahaton ka noor hamko

yaad aaj bhi hai.

Hamaare chhalkte nazron ko unki talaash aaj

bhi hai,

Aysa lagta hai ki unki aahat mere saath aaj

bhi hai.

 

Wo warshon mere dillo dimaag mein basi rahi

aaj bhi hai,

Mere dill o dimaag par unka hi ikhtiyaar aaj

bhi hai.

Hamare bojhil nayno ko to unka hi intzaar aaj

bhi hai,

Unki hi yaad mein hamara yeh dil bekaraar

aaj bhi hai.

Unka wo hansta hua khilaa chehra saamne

aaj bhi hai,

Unke madhur khayaalon mein mera dil uljha

aaj bhi hai.

 

Unke vazood se meri chaah un ke liye aaj bhi

hai,

Ye naazuk toote dil mein judaai ka sadma aaj

bhi hai.

Sara aalam gham se bhara hai un ki chaah

aaj bhi hai,

Chali to gayi hai wo par unka chasme deed aaj

bhi hai.

Ishwar ye duwaawon ko kubool ki par maatam

aaj bhi hai,

60ura b60h hoon unke saath ke bina badi

dukh dard aaj bhi hai.

 

Mujhe yakeen hai yeh rishta wo ruh mere

saath aaj bhi hai,

Is liye ab sab ka shubh aashirvaad mere saath

aaj bhi hai.

Na jaane kitne hasraten hain is dil mein

mazaar aaj bhi hai,

Tumhare Lakhan ko mere dildaar tumhara

intzaar aaj bhi hai.

Phir se teri raah taak ke ye aashaayen betaab

aaj bhi hai,

Swarg mein basi ho lekin tumhare dam mein

bahar aaj bhi hai.

 

@