Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MAR KE BHI JEENE KI

CHAH RAKHTA HOON

 

Apne is jindgi ka antim raaz hamne apne

tanhai mein pa liya hai,

Jo bhi gham milta hai un ko prem se hi banda

apna bana leta hai.

Ab hamko apne gham ki daastaan sunaane ko

koi nahin milta hai,

Jo gham 61ura b61 hain saamne aayina

rakhke bujha deta hai.

 

Ab kisi se bhi koi mohabbat hamari fitrat mein

nahin rahi doston,

Par jab kisi ko chahate hain to un pe jindgi

waar dete hain doston.

Agar unke saath kahin phirse rahne ka ek

mauka mil jaataa yaaron,

Unke saath ab main mar ke bhi jeene ki chah

rakhta hoon yaaron.

 

Ab sachche dost hi hamko mere pyar se

achche nazar aate hain,

Har dukh sukh mein unka saath hota hai

mera khayal rakhte hain.

Dost hi pyar se bada hota hai aur wahi samay

pe saath detaa hai,

Is liye Lakhan kisi aur ko nahi par sachche

doston ko khojta hai.