Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MERE SAROJ KO AMAR

KAR DE

 

Jab khushi ke din the to saamne jhilmilaata

aayna tha,

Jindgi aman chain thi saare jahaan mein

chaman tha.

Ab is tanhai mein usi aayne ke kai tukde ho

gaye hain,

Us aayne mein ham dono saath the par aaj

ham akele hain.

Jisko banaaya tha apna saathi wo ab hamse

chhoot gaya hai,

Hamne kasme khaayi thi to wo hamse kyun

rooth gaya hai.

Bichhad gayi sajni to is khoyi si aankhon mein

aansoo hain,

Unke saath ka har sama suhana tha ab to

ham akele hain.

Main apna haal to jaanta hoon par unka haal

kaysa hoga,

Yeh sab jaanne ke liye hamko bhi unke paas

jaanaa hoga.

Ye gham hamko khaaye ja rahi hai dard

badhta jaata hai,

Is jindgi ke raahon mein kitne log mere saath

khelte hai.

Neend na jaane kahaan chali jaati jab unki

yaad aati hai,

Har taraf ujaala dekhta hoon is dil mein ek

andhera hai.

Raaten katati nahin hai kyun hamara savera

chhupa hai,

Ye jigar tadap raha hai na jaane kitna dard

jhel raha hai.

Apne viraan jindgi ka raaj ab apne tanhai

mein paya hai,

Ab 70ura b dukh dard milta hai unko apna hi

bana liya hai.

Kabhi jab bhi sunane ko milta hai kisi ka

daastaan E gham,

Wahi aayina saamne rakh ke khud ko

samjhaata usi dham.

 

Kudrat se dua maangta ki jeene ka ek mauka

aur to dede,

Aur kisi se hamari mohabbat ki chah nahin

hai yeh sun le.

Halaki Lakhan apne gul noor ko chahta tha

unko lauta de,

Agar yeh nahin mumkin ho to mere Saroj ko

amar kar de.

 

@