Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AB HAMKO KOI BHI

GILA NAHIN HAI

 

Yeh kahan thi hamari kismet ki mera yaar

jeewan bhar mere saath rahta,

Lekin yeh jindgi kuchh aur lambi hoti to unka

sare umar ka intzaar rahta.

Pachaas saalon se unke waade hi pe jite rahe

to yeh sab jhootha nahin hota,

Unse pahele ham hi chale jaate agar unka is

tarah ka aytbaar nahin hota.

 

Unke jaane ke baad pataa chala ki ham ho

gaye hain ruswa yeh dil khaak ho gaya,

Ab jab bhi mera janaja yahaan se uthega to

mera unka bhi saath ho jaayega. 

Ab koi mere is toote hue dil se poochhe ke

usmein kitne teer chubhte hain, 

Ab to koi dard bhi nahin hota chahe sabhi teer

is dil ke aar paar ho jaaten hain.

 

Unki judai ne hamko itna dard diya hai ki ab

aur sahne ki sakti kahan hai,

Yeh jaante ki aysa hoga to pahli mulakaat

mein kah dete pyaar nahi hai. 

Ab to 71ura b nahin sakta na unko bhool

sakta hoon ab yehi meri kismet hai,

Jhell lenge 71ura b musibat saamne aaye ab

hamko koi bhi gila nahin hai.