Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKO PHIR DEKH LETE

 

Wo ab hamaare paas nahin toh unki judai

sataati hai, 

Mere dil ke kai tukde huye yeh kisi ko pataa

nahi hai. 

Main ab kahan jaawoon koi ja kar unse

poochhta nahin,

Unse milna kathin hai hamko ab wo aawaaz

dete nahin. 

Ham sab kuchh sah sakten hain lekin yeh

judai nahin,

Unko bhool jaana mushkil hai yeh do dino ki

baat nahin.

Yeh dil bhi unka tha yeh jaan bhi unki thi par

ab kya karoon?

Na mera dil mere paas hai na jaan hi hai ab

kya karoon?

Kahin aysa manzar hota mere seene par unka

sar phir hota,

Jindagi phir se khil uthti jigar mein wahi

dhadak phir hota.

Hamko aur jeene ki chaahat ho jaati ham phir

se jee lete,

Bahaaren aajaati apne andhere ghar mein

unko gar dekh lete.

 

@