Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

JO TERE PAAS HAI 

 

Jaane ke baad ab ham unko hi dhoondhte

hain, 

Mere nas nas mein to ab jayse wahi bas gayi

hain.

Ab to mujhko sirf unki hi chaah aur talaash

hai,

Dhoondhta kyun hai unko tu jo tere hi paas

hai.

 

@

Tere naam se aur kaam se mohabbat ki thi

Tere ehsaas se vishwaas se mohabbat ki thi

Ab tum toh mere pass hi nahi ho phir bhi,

Maine tumhari yaadon se mohabbat ki thi.

 

@

 

Tab aur ab ki jindagi mein jameen aasmaan ka

fark ho gaya hai,

Tab unse pyar ki baaten hoti thi ab unke

tasveer samne rahta hai.

Kabhi rakhte hain in aankhon mein kabhi is dil

mein sajaate hain,

Jab bhi gahri yaaden sataati hai unki tasveer

lekar baat karte hain.