Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

KAYSE BATAWOON

MAIN?

 

Kaise bataaoon main Mere liye Wo kaun thi?

Wo mere dhadkanon ka geet thi

Mere Jeevan ka sangeet thi,

Wo Meri zindagi meri bandagi

Meri roshni Meri taazgi thi,

Wo Meri har khushi Mera pyaar thi,

Wo meri preet thi mera manmeet thi,

Ab mere ankhon mein hain wo yaadon mein

hai,

Saanson mein hai aur aahon mein hai,

Neendon mein hain aur khwaabon mein hai,

Ab wo meri har baaton mein hai

Wo mere din raaton mein hai.

Wo mere subaah mein bhi shyaam mein bhi

hai,

Wo ab mere soch mein mere khushi  mein hai,

Mere liye paana bhi wo mere liye khona bhi wo

hai,

Mere liye hasna bhi wo mere liye rona bhi wo

hai.

Ab to wo hi mera jaagna aur sona bhi hai,

Jaaoon kahin dekhoon kahin wo hi wo vahin

hai,

Kaise bataaoon ab unke bina mera kuch bhi

nahin hai.

 

Kaise bataaoon main Mere liye wo kaun thi?

Wo jo unka roop tha wo mere zindagi ki dhoop

thi,

Chandan sa badan tha jiski mahek meri

wazud thi,

Chaal unki wo nadi si thi jo aaj bhi bahti hai

yahin.

Unki shokhiyaan aur mastiyaan hawaaon se

mili thi,

Zulfein ghataaon se mili thi

honton mein kaliyaan khilti thi,  Aankhon ko

jheele mil gayi thi

chehre mein simti chaandni thi, Aawaaz mein

thi raagini sheeshe ke jaisi ang thi,

Phoolon ke jaisi rang thi nadiyon ke jaisi chaal

thi.

Kya husn tha kya haal tha wo jism ki

rangeeniyaan,

Jaise hazaaron titliyon ki udaan thi.

Baahon ki wo golaaiyaan 

aanchal mein wo parchhaaiyaan,

Wo sab najariyaan ab hain mere  khwaab ki,

Kaise bataaoon main Haalat dil-e-betaab ki,

Kaise bataaoon main wo Mere liye  kaun thi?

 

Mere liye wo mera dharam thi mere liye wo

imaan thi,

Wo hi meri ibaadat thi wo hi meri chaahat thi,

Wo hi mera armaan thi wo hi mera sansaar

thi,

Mere har pal ke liye wo hi to wo tasveer thi,

Wo ab meri taqdeer hai jo meri dilgeer thi.

 

Wo hi sitaara hai mera wo hi mera nazaara

hai,

Har dhyaan mein mere hain jaise mujhe ghere

hain.

Purab mein wo pachhim mein wo,

Utar mein wo dakshin mein bhi wo hai.

Saare mere jeevan mein wo har pal mein wo hi

wo hai.

Mere liye rasta bhi wo mere liye manzil bhi wo

hai.

Mere liye saagar bhi wo mere liye saahil bhi

wo hai.

Main dekhta bas unko hi hoon main sochta

unko hi hoon,

Main jaanta bas unko hi hoon, maanta bas

unko hi hoon.

Ab wo hi meri pehchaan hai wo hi meri jahaan

hai,

Kaise bataaoon main mere liye wo kaun thi?

Saroj Devi thi wo mere liye wo meri Sati Savitri

thi,

Mere liye wo meri Laxmi thi, Saraswati thi

Gayatri thi,

Kaise bataaoon main wo mere liye aur kaun

thi?

Kaise bataawoon main?

 

img10.png