Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

YAAD KARTA HOON JO

CHALE GAYE

 

Meri aankhon mein bas ke dil mein sama kar

chale gaye,

Badi soonsaan yeh jindagi thi wo jagaa kar

chale gaye. 

Apne chehre ko wo mere seene tak laakar

chale gaye, 

Na jaane kya raaz tha jisko wo chhupakar

chale gaye. 

 

Mere rag rag mein wo is tarah samaa kar

chale gaye,

Ab jaise mujhi ko mujhse churaakar chale

gaye.

Sukr hai mere karam ki saath nibha kar chale

gaye,

Mujhko diwana kar ke apna bana kar chale

gaye.

Wo aaye the is dil ki pyaas bujhane par kyun

chale gaye?

Is jigar mein ek aag si wo aur laga kar chale

gaye.

Mere lab aur jubaan thartharaye lekin wo

chale gaye,

Jaate jaate nigaah bhi na milakar chale gaye. 

 

Purane mausam ki tarah ab unki yaad aa

gaye, 

Tanhaii mein unka saath hona tha par wo

chale gaye. 

Unki yaadon ne jab sataaya ham hayraan ho

gaye,

Ghar aangan kitni sooni lagti hai jab wo chale

gaye.

 

Do do shaklen deekhti hain aaine mein par wo

chale gaye,

Mere saath hai unki parchhaii jab se wo chale

gaye.

Apne is khamoshi ko ab kya kare jab wo chale

gaye,

Unki sunta aur apni sonaata hoon jab se wo

chale gaye.

 

Lakhan jee raha hai apne pyaar ke liye jo

chale gaye,

Bhool sakta nahin unko yaad karta hoon jo

chale gaye.

 

@