Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

KAHAAN HAI WO PAANI

 

Dil karta hai phir se unka naam apne maathe

pe likhoon,

Zamana samajh le ki main unse behadd pyar

karta hoon.

Sanam ka saath mere naseeb mein tha kuchh

din ke liye,

Kudrat un ko juda kar diya mujhko yahin

tadapne ke liye.

Jabse wo mujhse door huye toot gayi chaman

se kaliyan,

Ab to unke waapas aane ka din ginti hain meri

ungaliyan.

Jigar par patthar pada hai badan mein ek aag

si lagee hai,

Kahan hai wo paani jo patthar pighlati aur aag

bujhati hai.

 

@

 

Mujhe ab kisi ki bhi zarurat nahi

Siway teri

Mere nazaron ko teri talash usi din

Se hai teri

Kisi ke paas wo surat hi nahi

Siway teri

Jo dil aur zindagi mein aa

sakey meri

Kisi ko itni ijaazat nahi detaa main

Siway teri.