Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

JAKHAM DE GAYE

 

Jo kareeb the hamare ab kahin door chale

gaye,

Bahut kush the ham lekin ab akele hi rah

gaye,

Ab mere dill ke dukh dard bade gahre ho gaye,

Malham lagane waale the jo wo jakham de

gaye.

 

TAKDIR KO KOSTE HAIN

 

Aajkal jahaan bhi unke kadmon ke nishaan

dekhte hain,

Yahi samajhiye ki apne sanam ki parchhai

dekhte hain.

Dil mein ek wo chasm E chaman ka nazara

dekhte hain,

Jisko dekhe ab na jaane kitne sadiyan guzar

gaye hain.

Unki madhur yaaden abhi bhi is jigar mein

jhoomti hain,

Ab kisi aur ke taraf bhool ke ham hargiz na

dekhte hain.

Tamanna thi ki ye jindagi ka silsila kabhi

khatam na ho,

Ab jayse unko is jeewan bhar apne paas hi

dekhte hain. 

Ab banaa ke fakir ka bhesh diwaano ki tarah

firtey hain,

Na jaane kya sach hai par ab ham takdir ko

koste hain.

 

 

ROSHNI CHALI GAYI 

 

Kisi meharbaan ne aake meri jindagi sawaar

di thi,

Dilo jaan se usko chahata tha jo jigar mein

bas gayi thi. 

Unke chale jaane ke baad ab sab taraf

tanhaaiyan chha gayi,

Tharraa raha hai ye dil aur meri betaabi bhi

badh gayi.

Ab wo mauj kahaan rahe sab khushiyan bhi

chali gayi,

Is dil ke dhadkano mein ab ek badi halchal si

mach gayi. 

Is dil mein toofaan utha hai aur sab bahaaren

bhi chali gayi,

Yeh sab raaten bujhi bujhi hain din ki chain

chali gayi.

Mere har raaton mein andheri hai wo roshni

chali gayi,

Kisi meharbaan ne aake meri jindagi sawaar

di thi,

Dilo jaan se chaahta tha jo jigar mein bas gayi

thi.