MUJHE TUMHARI HI
YAAD AAYE
Aaj phir wo chaand nikla hai magar tum
nahin ho yahan,
Is dil mein ek aag si lagi hai ab main akele
hoon yahan.
Ye jalim raat kahti hai wo khushi ke tere din
nahin rahe,
Ab ye jaanta hai mera dil ke tum bhi yahan
nahin rahe.
Yahaan khada hoon main phirbhi apni
nigahen bichhaye,
Ab main kya karoon haay jab mujhe tumhari
yaad aaye.
Hamare is sulagate seene se ek dhunwaan sa
uthtaa hai,
Main kahta rahta hoon ab chale aawo ke dam
ghutata hai.
Ab sab din jala rahen hain tan man ko
baharon ke saaye,
Ab main kya karoon haay jab mujhe tumhari
hi yaad aaye.
@