Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AGAR TUM NA AATE

 

Mohabbat ki mere aysi kahani na hoti,

Agar tum na aate, agar tum na aayi hoti.

Ye khayalon ki duniya suhaani na hoti,

Agar tum na aate, agar tum na aayi 

Hoti.

Yeh chahat na hoti yeh farmaan na hote,

Mere dil mein khushiyon ke wo saamaan hote.

Kabhi is kadar ki meri jindgani na hoti,

Agar tum na aate, agar tum na aayi hoti.

Yeh gup chup nazaare yeh julmi sitare,

Bahut door hain firbhi lagte hain pyaare.

Labon pe yeh maatam ki kahani na hoti,

Agar tum na aate, agar tum na aayi hoti.

 

@

 

Ab zinda to hoon par har roz yahi sochta hoon,

Aysa karishma ho ki unse mulaakaat ho jaaye.

Is silsila ko isi aasre se main chalaata rahoon,

Unke liye mera pyaar mere andar hi palta rah

jaaye.