Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MAIN TADAPTA HOON

 

Maut ke baad unko jala denge hamne kabhi

socha na tha,

Unke raakh ko paani mein milaa denge kabhi

socha na tha.

Dil ne kaha unke raakh ko khaak na karo yeh

achha nahin,

Yahi ek rah gai hai tere pyar ki nishani kyun

tu suntaa nahin?

 

Ye faasale itne ho jayenge yeh hamne kabhi

socha na tha,

Mere saamne unki chita jalegi par wo saks ab

mera na tha,

Ek khushboo ki tarah fayla hai ab mere har ek

saans mein,

Unki madhur yaaden hi rah gayi hain is jigar

ke har kone mein.

 

Ab raat din unki purani aahaten aati hain

mere kaano mein,

Jhaank kar peechhe dekhta hoon to koi hai

nahin gali mein.

Ab unko yaad karke aur bhi takleef hoti hai

mere seene mein,

Chah kar bhi bhulna chaahoon yeh aataa na

mere mann mein.

 

Din ginta hoon raat kaata hoon unko bhool na

paata hoon,

Har roj unki nayi yaaden aajaati hain aur

main tadapta hoon.

Apne dil ki har baat kahna ab mushkil hai,

Unke sab yaadon ko liye jeena aasaan nahin

hai. 

 

 

JO WAADAA KIYA

 

Ab hamse khelti hai duniya taash ke patton

ki tarah

Haar ke ghar chalaa aata hoon haaraa juwadi

ke tarah

Ab jeetne ki koi shauk nahi jindagi ne haraa

diya hai 

Tab jeet hogi meri jab pura hoga jo waadaa

tumne kiya hai.

 

 

@