JAB UNKI YAAD SATAATI
HAI
Kaash aaj main unke hasin haanthon ka
kangan hota,
To bade shauk se unke haanthon mein
khanakta hota.
Unse lipta rahta agar unke gale ka chandan
haar hota,
Unki ungaliyon ko pakde rahta agar unka
chhalla hota.
Aaj na kangan raha na haar hoon na chhalla
hoon main,
Unke liye to ab ek doosare jameen ka sitara
hoon main.
Raaton ko jab bhi main neendon ke safar par
jaata hoon,
Unke kangan waale hanth ko apna takiya
banaata hoon.
Unke kaano se lag kar na jaane kitne baatein
karta hoon,
Unke lambe julfon ko bade pyaar se sawaara
karta hoon.
Main unki madhur sapno ke duniyan mein
kho jaata hoon,
Jab aanken khulti hain to apne aap ko akela
paata hoon.
Is tarah se kat hi jaati hain sab din aur meri
sabhi raaten,
Mujhko sukoon to miljaati hai jab karleta
hoon do baaten.
Ayse main unke ruh ke gulshan mein
mahakta rahta hoon,
Main unke haanthon mein kangan sa
khanakta rahta hoon.
Ab to kuchh nahin hai bas aysa hi benaam sa
bandhan hai,
Jisko kabhi main baandh leta hoon kabhi wo
khul jaati hai.
Main apne tanhaii mein tadap uthta hoon jab
wo yaad aati hai,
Koi pal aysa pal nahin jab unki madhur yaad
na sataati hai.
@
Jo hua so hua ab bade shaan se unke dil mein
hi rahenge,
Is mohabbat pe naaz hai unpar jaan
niuchhawar karenge.
Kudrat to kudrat hi hai hamko dekhke jalegi
duniya saari,
Ham jannat mein mauj karenge bepanah pyaar
karenge.