Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

PEETA CHAL BAYTH KAR

APNE ARTHI MEIN

 

Wo din toh aane wali hai jab meri arthi is

duniya se uthegi,

Ek alag sama hoga mausam ki baat mat karo

tufaan uthegi.

Koi jakar unko bata de margaya tumhara wo

chahne wala,

Na wo hai na uski bekhudi hogi pahenle uske

naam ki mala.

Jo bhi uska naam tha maya jaal usne jo

faylaya tha mere liye,

Mere maiyat mein aake dekhle wo kya na kiya

tha uske liye.

Aaj ka insaan bhi kitna khudgarz hota hai yeh

bhi sunlo hamse,

Jisko Lakhan pasand karta hai uski buraiyan

nikaal deta hai dilse.

Nafrat ki baat koi aur hai jab wo uski

achhaiyan bhool jaata hai,

Hamne usko pyar kiya tha jo mujhse ab rooth

gayi hai.

Wahi mera pahela pyar thi lekin door kar diya

hamko rab ne,

Hamto thokar kha gaye the lekin bacha liya

hamko meri qiamat ne.

Khushiyon ki bhi koi dukaan hoti aur hamko

uski pehchaan ho jaati,

Rakh dete wo unki daman mein bhale iski

kimat meri jaan ho jaati.

Wada karke bhool gayi dil mein ek aag laga

diya hai,

Us aag ko bujhane aagayi meri pariyon ki

sahejadi yeh kismet hai.

Yahi to husn waalon ki shaan aur pyaar ki

aadat hoti hai,

Rula dene ki kadar rakhte hain magar

manaane ko bhool jaate hai.

Mujhko unki pattharon ka dar hota agar

shishe ka mera dil hota,

Ham bhi unse pyar ki baaji khelte gar dil

tootne ka dar na hota.

Meri pari to chali gayi kal ham na honge na

koi gila hoga,

Ab sirf us maya ki simti huyi yaadon ka yeh

silsila hoga.

Jo lamhe bache hain unko ab hans ke bitana

hoga,

Kya pata ye jindagi ka kawn sa aakhari faisala

hoga.

 Ab roj roro ke kahti hai meri yeh jindagi

mujhse,

Us maya ke khatir kyun barbaad kartaa hai

mujhe.

Bhar kar pyaar ka jaam is shishe ke

paymaane mein,

Peeta chal khushi se baith kar apne is arthi

mein.