Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

TERA BIGADTA KYA THA

 

Na jaane kyun ham na samajh paaye unki

nazron ka sab takaza kya tha,

Kabhi ham unse bepanah pyaar karte the

kabhi parda bhi kar leta tha.

Meri saari umar mujhko madhosh unki kadar

kaayedon ne kiya tha

Warna ham bhi kab ke kah diye hote ki is

duniyan mein rakkha kya tha.

Unke saath saath chale jaate bade shauk se

unke baad yahan bacha kya tha,

Khaak mein millkar Lakhan yahi kahta jaane

ke baad bigda kya tha.

Yeh to hamko maaloom tha ki is duniyan se

jaane ke baad koi lautata na tha,

Unke saath chita par main bhi jal jaata aag

lagne se mera bigadta kya tha.

Yeh chaah kar bhi ham nahin kar paaye kyun

ki mere paas aysa himmat na tha,

Ayse bujdil se mat baat karo yaaro jisne apne

priyetam ko dhokha diya tha.

Chhoti muh hai aur badi baaten hain aur jab

apne mehbooba ko itna pyar karta tha,

Toh tera unke saath jaakar un par fida ho

jaane se tera bigadta kya tha.