Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

PURAANE LAMHE

 

Ab wo sab puraane suhane lamhe bhulaye

nahi jaate

Yaado ke wo sab parinde yun hi udaaye nahi

jaate

Unka wo chhat par aajaana un kaale julfon ko

lehrana

Un sabhi pegaamon ko aaj likhkar bataaye

nahi jaate

 Wo bahaana banaake saheli ke ghar padhne

jaanaa

Hamebhi gali ke chakkar ab wayse lagaye nahi

jaate

Unke ghar raaton ko sab ki nazren chhipa kar

jaanaa 

Wayse purane bahaane to ab banaaye nahi

jaate

Un dino ke mohalle ki shadi me saj-dhaj kar

jaanaa

Ab hamko hamesha aysi jalwe dikhaaye nahi

jaate

Tanhaai mein kisi kone me chhup kar aansu

bahaana

Aysi ehsaas to mere dosto ab hamse kiye nahi

jaate

 

@