Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

ACCHHA NAHIN LAGTA

HAI

 

Aaj kal mausam mein kuchh rimjhim to hai

magar wo saawan gayab hai

Mujh mein kuchh bachhon ka sulook hai par

mera bachpana gaayab hai

Na jaane kaysi ho gayi hai taaseer is jamaane

ke logo ki mere yaaro

Hamaare log hamko apna to maante hain

magar apnapan gaayab hai

Aajkal haanth mein mere mera kalam ka

aanaa suhaana lagtaa hai

Dil aur dimaag par mere jo jahar hai un ko

ugalna aa jaata hai 

Tanhaai ne hamko mazboor kar diya warna jo

yeh kalam likhta hai

Padhne waale ko bhi uska bojh uthaana ab

achha nahin lagta hai.

 

ACCHHE AUR BURE

SAATHI

 

Chaahe waqt ki kadi dhoop ho ya aandhiyon

ki tez bayaare hain

Ham apne puraane kadmon ke nisaan nahin

kho sakte hain

Jinko har waqt yaad kar ke yeh aankhen

muskuraati rahti hain

Wo madhur saathi door ho kar bhi kabhi door

nahin hote hain

 

Main apni jindagi mein har kisi ko ahmiyat

deta hi rahta hoon

Jo acchhe hain wo saath dete aur bure logon

se sabak leta hoon.