WAQT AUR SAMAJH
Apne buland ummeedon se mat fislo koi
tumko uthaane waala nahin hai
Yeh soch kar bhari dariya mein mat koodo koi
tumko bachaane waala nahin hai
Yeh saari duniya to ek saraaya hai sabhi
prakaar ke tamaasgiron ka doston
Agar dekhenge tumko musibat mein to har koi
yahan majaa paataa hai
Waqt aur Samajh ye dono ek saath,
Khush kismat logo ko hi milte hain
Qyun ki aksar waqt pe samajh nahi aata,
Samajh aajaane tak yahan waqt nahi hain.
@