Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

NASEEB KI BAAT

 

Jakham de kar yeh na puchho ki dard kaysa

hai

Dard to dard hi hota hai thoda na bada hota

hai

Bada acchha lagta hai tera naam mere naam

ke saath

Jayse ek khubsurat subhah judi hai hasin

shaam ke saath

Ab na koi shauk didaar ki hai na fikr judaai ki

Kisi se pyaar nahi yeh bhi baat hai naseeb ki.

 

JINDAGI KYA HAI

 

Ab koi nahi dega saath tera yahan har koi

khudd hi mein mashgool hai

Is kalyug mein ab yahi to jindagi ka bas ek hi

wasool hai 

Hamko girna bhi khudd hai aur fir sambhalna

bh khudd hai

Hamko ab insaano ko pahchaanane ki

koshish chhor dena hai 

Har insaan yahan jarurat ke hisaab se nakaab

badalta hai

Jamaana badal gaya yahi ab har shaks bhi

yahi kahta hai

Hamaare beete lamho ki ek lambi kitaab hai

zindagi,

Saanso, dhadkano aur khayalo ka ek hissab

hai zindagi

Kuchh jarurate puri hoti kuchh khwahishe

aduri rahti

Bas ayse hi kuchh sawaalon ka jawab hai yeh

zindagi.

 

@