Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

HANSTE HANSTE BHI DIL

TOOT JAATAA HAI

 

Humko waqt aur wastaad dono sikhaate hain,

Waqt aur wastaad mein sirf itna sa farq hai, 

Wastaad sikhaa kar fir imtihaan leta hai

Aur waqt imtihaan lekar fir sikhaata hai 

Pyaar mein har ek ka maqsad ek hi hota hai

Khud chaahe wo bewafa kyun na hota hai

Par talash wo hamesha wafadaar ka karta hai

Wafadaar ke bhesh mein koi bewafa milta hai 

 

Choti choti baaton pe ham rooth jaate hain,

Hamaare haath unse bas chhoot jaate hain

Bahut najuk hain apnepan ke sabhi rishte

Dekh liya ki haste haste dil toot jaate hain,