MAUJ KIYA THA SAB DIN
Meri har ek dhadkan tumhaare hi kahne par
chalti hai
Sukoon milta hai jab teri baatein dil ko
gudgudaati hai
Ab to sanam ki saansen mere dil mein hi
rahne lagi hai
Main ne to apni har dhadkan tumhaare naam
kar di hai
Ham ne tumse pyaar jab kiya tha to ek baar
sochaa tha
Meri jindagi kaysi hogi aisa bhi ham ne
sochaa tha
Jeene ka shauk tha saath saath kuchh nahi
sochaa tha
Khushi ke dariya mein tayrte the koi soch
nahin tha
Tumhaare chale jaane ke baad sochtaa hoon
kya kiya jaaye
Isi soch mein doobtaa hoon kahaan jaake
saans liya jaaye
Prem ke nadiya ke do kinaare milne ke liye
betaab hain
Is gahri nadiya ko kayse paar ki jaaye yahi
sochte hain
Dil ke dard bharte hi nahin hain ab chaahe
kya kiya jaaye
Dil khol ke pyaar kiya tha ab unki baat maan
liya jaaye
Apne priyetam ke chaman mein mauj kiya tha
sab din
Lakhan taras raha hai unke liye apne tanhaai
mein raato din.
15th August 2015