Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

LAKHAN POOJA KARTA

HAI

 

Unke tasveeron ko sajaanaa dhajaanaa ab

mera rojina kaam ho gaye hain

Kabhi diwaaron pe, kabhi aankhon mein to

kabhi dil mein basaaya karte hain

Unke yaadon ke manjar gahre hote hain isliye

tasveeron se baatein karte hain

Julfon se khelna, aankhon mein jhaankna fir

tasveeron ko honthon se lagaate hain

Wo inkaar kabhi karti nahi bas ham unko

baahon mein bhar ke sapne sajaate hain

Unke nidhan ke baad main ab unki tasveer ko

chhup chhup ke nihaaraa karte hain

Aksar aisa ho jaata hai ki wo mere nazron

mein bhi samaa jaate hain

Apni hos hawaas gawaa dete hain bas un

tasveeron ko ek tak dekha karte hain

Ab sab kuchh gawaa sakte hain magar unki

tasveeron ko chhupa ke rakhte hain 

Lekin jo tasveeren aankhon se ho kar dil mein

utar gayi unko chhupa na paate hain

Ab is dil ki haal bayaa karti hai mere aankhon

mein jo tasveere chhupi rahti hain

Mera ab sab kuchh hai unki tasveer hi unke

bina ham nahin sukhi rah sakte hain

Main har gham ko sah sakta hoon par unke

tasveeron ke bina na rah saktaa hoon

Bas mere aankhon se kuchh na kaho un

tasveeron ki pooja aur pyaar karta hoon

In tasveeron ko in aankhon aur dil mein rahne

do mujhe har pal sukoon milta hai 

Saroj ki tasveeron ko apne aankhon ke mandir

mein rakhke Lakhan pooja karta hai.