Mere Phool Ko Todd Diya Hai
Bahut hi sunahare din bita kar jisko apna
banaya tha
Mit gaya wo bhi sundar sapna jo khule
aankhon se dekhta tha
Ek toote huye dil ke kissey kis ke paas
nahin hote hain yaro
Haan aysa hota hai ki wo sab se bayaan
nahin kiye jaate hain yaro
Unka daaman chhuta toh mano khanjar
chal gayi mere dil par
Main jeeta toh hoon lekin meri neend udd
gai hain unke mazar par
Mohabbat karne wale hain is liye kuchh
bhi kah nahin saktey hain
Unka haanth mere honthon par hota hai
jab bhi fariyaad kartey hain
Ek jo pyaar ka aashiyan tha ab jal kar
benishan ho gaya hai
Wo kaun si bijli thi jis se mera sab kuchh
bikhar gaya hai
Ab nikalne laga hai ye dil mere kambakht
aansuwon ke saath
Kis ne ulat diya hai Lakhan ki chalti gaadi
chheen liya hai mera saath
Jis baagbaan mein meri sajani thi usi ko ab
ujjaad diya hai
Jis phool pe bepanah bharosa tha usi ko
todd ke phenk diya hai