Saroj Ki Aahat Milti Hai
Abhi meri sab aas kahan tooti hai bhale
meri khushi ham se door hai
Main abhi gham uthane ki himmat rakhta
hoon chahe wo ham se door hai
Jo ho sakey toh mere bhataktey dil aur
dimag ko thanda kar de
Bahut takleef se gujre hain ab mere
ghamon ko door kar de
Mera sara chaman hi phook diya mere
sabhi hausalon ke saath saath
Ay mere malik yeh tune kya kiya mere
khushaal jindgi ke saath
Ab har kali muskura ke is gulshan mein
mera hansi uddati hai
Main rowoon ya hasoon ye to hame pata
nahin kyun ki mujhe dard satati hai
Baaki umar tanhai mein jalta rahunga
khamoshi ke saath
Yaad karta rahunga un rasile dino ko jo
bitaye thea unke saath
Aankh band hoti hai toh unki khoobsurat
chehara saamney aajaati hai
Aankh khulti hai to Lakhan ko uske Saroj
ki aahat mil jaati hai