![Free-eBooks.net](/resources/img/logo-nfe.png)
![All New Design](/resources/img/allnew.png)
Ashq Kahan Se Laawoon
Aaj kal apne palang par karwate kyon
badal rahe ho Lakhan
Abhi to tumhare dukh takleefon ki
shuruaat hai hamsukhan
Albatta khushi ka naam to suntey aaye ho
par yeh khushi kya hai
Itna dukh dard se gujarey ho tum ki ab
nahin jaantey khushi kya hai
Is duniya ke chaman walo ab yeh chaman
tum ko hi mubarak ho
Ghutata hai aankhon mein mere pritam
ka bichhadna ab sukoon kayse ho
Jaata hoon unse milne bagiche mein toh
ab wo bhi munh pher lete hain
Jahir hai ki unse hamari sabhi bebasi
sahan na hote hain
Ab main kya sunaawoon apne dard
mohabbat ka ye soonsaan maajara
Ab toh hadd ho gai ki un se meri koi
shikayat bhi nahin raha
Dil karta hai unko paas bula ke seene
mein chhupa ke rakh loon
Jaane wale se koi kayse poochhe main
tujh ko kayse bhula doon
Lakhan ko raha hai waasta gham se abhi
tak toh khushi kahan se laawoon
Saroj ke khushi ke naam se apne aankhon
mein ashq kaha se laawoon.